avval to maiñ ruktā nahīñ aur jis se rukūñ maiñ
tā-hashr ye mumkin nahīñ phir us se milūñ meñ
ye aur sunā.ī ki mirī baat to sun le
jo terī kahe aan ke us kī na sunūñ maiñ
ye ḳhuub kahī dekheñge kab tak na milegā
is baat pe gar chāho to ab sharm karūñ maiñ
aapas meñ agar charḳh-o-zamīñ dinoñ ye mil jaa.eñ
to bhī na kabhī tujh se milā huuñ na milūñ maiñ
tab naam hai 'mārūf' dharā rah to sahī jab
chhātī pe tirī āTh-pahr muuñg dalūñ maiñ