bas hī hameñ yak nazar misl-e-sharar dekhnā
kis ko mile bā-nasīb bār-e-digar dekhnā
ā.ina-sāñ kyā ġharaz ham ko bad-o-nek se
sāmne jo aa gayā ek nazar dekhnā
aur to bāteñ burī chhaT ga.iiñ sab jīte-jī
aañkh muñde par chhaTā ek magar dekhnā
sar ko uTh kar zarā dekhiye merī taraf
aa ke udhar baiThnā aur idhar dekhnā
dekhiye 'mārūf' ab kyuuñ ki dil-o-dīñ rahe
is but-e-kāfir kā hai ye hī agar dekhnā