na ham mahv-e-ḳhayāl abrū-e-ḳham-dār sote haiñ
sipāhī haiñ zi-bas bāñdhe hue talvār sote haiñ
tumhārā sote sote chauñk paḌnā khab gayā dil meñ
ki aksar ḳhud-baḳhud ho ho ke ham bedār sote haiñ
ilāhī ham ko hai kis kā ḳhayāl-e-ḳhvāb-o-be-dārī
jo lākhoñ haar uThte haiñ hazāroñ yaar sote haiñ
nigāh-e-mast-e-sāqī meñ hai kyā dārā-e-be-hoshī
ki sāġhar lag rahā hai muñh se aur mai-ḳhvār sote haiñ
na kar vasvās dil meñ chal vahāñ 'mārūf' be-khaTke
ki darbān ūñghtā hai aur chaukīdār sote haiñ