Maroof Dehlvi

jam de aur na kar waqt pe takrar ki bas

Maroof Dehlvi

jaam de aur na kar vaqt pe takrār ki bas
sāqiyā abr uThā hai ye dhuāñ-dhār ki bas
kyā tamāshā hai jo kal raat vo laa.e tashrīf
be-ḳhudī ne ye liyā aan ke yakbār ki bas
kyuuñ na dil aise ko duuñ maiñ ne kal un se jo kahā
dard hotā hai mire dil meñ ye ai yaar ki bas
sunte hī ho ki ham āġhosh kahā hañs ke tujhe
dard-e-dil kī hai davā aur bhī darkār ki bas
rashk se kyuuñ na jale mehr-e-daraḳhshāñ 'mārūf'
hai mire yaar kī ye garmī-e-bāzār ki bas
Top Urdushayar.com