Khalid Raheem

tarik zindagi ko banane laga hai wo

Khalid Raheem

tārīk zindagī ko banāne lagā hai vo

sūraj se raushnī ko churāne lagā hai vo

likh likh ke mere naam aziyyat ke dasht-o-dar

jāgīr mere ġham baḌhāne lagā hai vo

ehsās salīb liye chal rahā huuñ maiñ

dasht-e-junūñ meñ shor machāne lagā hai vo

mujh se le ke mere salīqe raushnī

tahzīb zabān sikhāne lagā hai vo

taḳhlīq-e-kā.enāt gar maiñ sabab rahā

phir kyuuñ mirā vaqār ghaTāne lagā hai vo

parvardigār merī shahādat qubūl kar

talvār le ke sāmne aane lagā hai vo

'ḳhālid' maiñ us ke haath tahrīr thā magar

harf-e-ġhalat samajh ke miTāne lagā hai vo

Top Urdushayar.com