Naseer Ahmad Nasir

sitara sham se nikla hua hai

Naseer Ahmad Nasir

Gujrat, India

1954
sitāra shaam se niklā huā hai
diyā bhī taaq meñ rakkhā huā hai
kahīñ vo raat bhī mahkī huī hai
kahīñ vo chāñd bhī chamkā huā hai
abhī vo aañkh bhī soī nahīñ hai
abhī vo ḳhvāb bhī jaagā huā hai
kisī bādal ko chhū kar aa rahī hai
havā kā pairahan bhīgā huā hai
zamīñ be-aks ho kar rah ga.ī hai
falak kā aa.ina mailā huā hai
ḳhamoshī jhāñktī hai khiḌkiyoñ se
galī meñ shor sā phailā huā hai
havā gum-sum khaḌī hai rāste meñ
musāfir soch meñ Duubā huā hai
koī nīndoñ meñ ḳhushbū gholtā hai
darīcha ḳhvāb kā mahkā huā hai
kisī guzre baras kī Diary meñ
tumhārā naam bhī likkhā huā hai
charāġh-e-shām kī āñkheñ bujhī haiñ
sitāra ḳhvāb kā TuuTā huā hai
safar kī raat hai 'nāsir' diloñ meñ
ajab ik dard sā Thahrā huā hai
Top Urdushayar.com