Naseer Ahmad Nasir

aks TuTa hai barha mera

Naseer Ahmad Nasir

Gujrat, India

1954
aks TuuTā hai bārhā merā
sañg-e-ḳhārā hai aa.ina merā
saarī duniyā mirī muḳhālif hai
ek bachcha hai ham-navā merā
tez bārish kā maiñ parinda huuñ
bādaloñ meñ hai ghoñsla merā
ghar meñ mehmāñ huī hai tanhā.ī
bhar gayā hai bar-āmda merā
do charāġhoñ se raat raushan hai
ek terā hai dūsrā merā
uupar uupar se Thiik lagtā hai
zaḳhm andar se hai harā merā
pūchh lenā kisī parinde se
sab ko ma.alūm hai patā merā
merī tarkīb meñ hai sachchā.ī
kaun chakkhegā zā.iqa merā
kone-khudre bhī ḳhuub raushan haiñ
hujra-e-zāt hai khulā merā
hone lagtī hai baat jab ḳhud se
TuuT jaatā hai rābta merā
kisī manzil kī yaad aate hī
chalne lagtā hai naqsh-e-pā merā
ek parkār ke simaTte hī
phail jaatā hai dā.era merā
ek Thokar se TuuT jā.egā
jism-e-fānī hai bhurbhurā merā
tum zamīnoñ ko nāpte rahnā
kā.enātī hai fāsla merā
thak ke vāpas chalā gayā 'nāsir'
ain manzil se rāsta merā
Top Urdushayar.com