dard ke piile gulāboñ kī thakan baaqī rahī
jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī thakan baaqī rahī
pāniyoñ kā jism sahlātī rahī purvā magar
TūTte bante habāboñ kī thakan baaqī rahī
diid kī āsūdgī meñ kaun kaise dekhtā
darmiyāñ kitne hijāboñ kī thakan baaqī rahī
falsafe saare kitāboñ meñ ulajh kar rah ga.e
dars-gāhoñ meñ nisāboñ kī thakan baaqī rahī
bārisheñ hotī raheñ 'nāsir' samundar kī taraf
regzāroñ meñ sarāboñ kī thakan baaqī rahī