jigar meñ dard to hai dil meñ iztirāb to hai
tumhāre ġham meñ mirī zindagī ḳharāb to hai
maiñ sirf tīra-shabī par yaqīñ nahīñ rakhtā
abhī zamīñ pe chamakne ko āftāb to hai
abhī surūr ke asbāb paa.e jaate haiñ
ki mai-kade meñ surāhī to hai sharāb to hai
har ek shaḳhs zamāne meñ inqilābī hai
ki inqilāb nahīñ fikr-e-inqilāb to hai
guzar rahī hai tasavvur meñ zindagī apnī
ab 'ārzū' na sahī aarzū kā ḳhvāb to hai