itnā mānūs hai dil aap ke afsāne se
ab kisī taur bahaltā nahīñ bahlāne se
jām-o-mīnā ke ta.ayyun se hai baalā saaqī
zarf dekhā nahīñ jaatā kisī paimāne se
aao tajdīd-e-vafā phir se kareñ ham varna
baat kuchh aur ulajh jā.egī suljhāne se
hai samajhnā to mohabbat se guzar ai hamdam
baat aa.egī samajh meñ na yuuñ samjhāne se
ab na chāheñge kisī aur ko taslīm magar
fā.eda kyā hai mire sar kī qasam khāne se
maiñ tahī-hosh sahī aap kā irshād bajā
aap bekār ulajhne lage dīvāne se
'ārzū' shikva-ba-lab ho to rahe ho lekin
fā.eda guzrī huī baat ko dohrāne se