Shahid Ishqi

lab tak jo na aaya tha wahi harf-e-rasa tha

Shahid Ishqi

Uttar pradesh, India

1926-2006
lab tak jo na aayā thā vahī harf-e-rasā thā
jis ko na maiñ samjhā thā vahī merā ḳhudā thā
maiñ dast-e-sabā ban ke use chheḌ rahā thā
vo ġhuncha-e-nau-ras thā abhī tak na khilā thā
patthar kī tarah phuul mire sar pe lagā thā
is vaqt sabhī ro.e the maiñ sirf hañsā thā
utrā thā rag-o-pai meñ mire zahr ke mānind
vo dard kī sūrat mire pahlū se uThā thā
mahrūm rakhā thā mujhe merī hī anā ne
jo uTh na sakā thā vo mirā dast-e-duā thā
har-chand kī nisbat to mujhe gul se rahī thī
maiñ bū kī tarah pairahan-e-gul se judā thā
mahrūmī kā ehsās rahā us se na mil kar
milne pe ye ehsās magar aur sivā thā
jaise koī kuchh rakh ke kahīñ bhuul gayā ho
is tarah azal se vo mujhe DhūñD rahā thā
Top Urdushayar.com