kis kis ke aañsū pūchhoge aur kis kis ko bahlāoge
ik din aa.egā tum bhī shāmil un meñ ho jāoge
rañg havā maiñ tair rahe haiñ titlī kā bahrūp liye
saare rañg utar jā.eñge tum gar haath lagāoge
umr-e-azīz gañvā.ī apnī sāyoñ kā pīchhā karte
saa.e kis ke haath aa.e haiñ aur tum bhī kyā pāoge
chauthe khūñT ko jā to rahe ho lekin ye vo rasta hai
tum ne agar muḌ kar dekhā to patthar ke ho jāoge
sail-e-havādis meñ ham sab ab patthar ban kar zinda haiñ
kaise sher kahoge 'ishqī' kis ko sher sunāoge