shahr-e-nigārāñ meñ phirte haiñ ham āvāra raat Dhale
shāyad koī darīcha vā ho shāyad koī diip jale
koī ġham-āgīñ naġhma chheḌe koī 'mīr' ke sher paḌhe
kam kam dard kī kaliyāñ mahkeñ pal pal ġham kī raat Dhale
vīrāñ vīrāñ dil kī bastī suunī suunī rāh-e-vafā
aise kaThin raste pe koī do-chār qadam to saath chale
chaak har ik gul kā dāman aur āvāra har mauj-e-sabā
jaise mujh se mil na sakā ho koī bichhaḌte vaqt gale
ḳhatm huā hai 'ishqī' tum par silsila-e-vahshat-zadagāñ
shāyad koī shaḳhs tumhāre ba.ad vafā kā naam na le