mahtāb hai na aks-e-ruḳh-e-yār ab koī
kaaTe to kis tarah ye shab-e-tār ab koī
mumkin hai dast-o-bāzū-e-qātil to thak bhī jaa.e
shāyad thame na dīda-e-ḳhūñbār ab koī
ahl-e-jafā se kahnā tarāsheñ salīb-o-dār
shāyān-e-sarv-qāmat-e-dil-dār ab koī
har ahd meñ agarche rahā jurm harf-e-haq
shāyad na aa.e ham sā gunahgār ab koī
haañ ai junūn 'sarmad'-o-'mansūr' ko naved
is dhaj se aa.egā na sar-e-dār ab koī
shahr-e-havas meñ qadr-e-vafā tere dam se thī
is jins kā nahīñ hai ḳharīdār ab koī
ai kaj-kulāh-e-ābla-pāyān-e-rāh-e-shauq
shāyad hī gul khilā.e sar-e-ḳhār ab koī
jitnā lahū thā sarf-e-qabā ho chukā tamām
kū-e-vafā meñ aa.e na zinhār ab koī