har marg-e-ārzū kā nishāñ der tak rahā
jab sham.a gul huī to dhuāñ der tak rahā
vo vaqt-hā-e-sū-e-haram jab chale the ham
dāmān-kash ḳhayāl-e-butāñ der tak rahā
kaliyāñ udaas phuul fasurda sabā ḳhamosh
ab ke chaman pe rañg-e-ḳhizāñ der tak rahā
muddat guzar chukī pa ḳhushā lazzat-e-visāl
har māh-vash pe us kā gumāñ der tak rahā
dār-o-rasan kā zikr chhiḌā jab bhī dosto
āñkhoñ meñ ek sarv-e-ravāñ der tak rahā
dīvāne ko to apnā bhī rahtā nahīñ hai hosh
ik naam phir bhī vird-e-zabāñ der tak rahā