siine haiñ chaak aur garebāñ sile hue
tūfāñ haiñ sat.h-e-āb ke nīche chhupe hue
ik umr-e-muḳhtasar bhī guzārī nahīñ ga.ī
sadiyāñ agarche guzrī haiñ dukh jhelte hue
rañj-e-shikasta-pā.ī hai ik zād-e-rāh-e-shauq
aur umr hone aa.ī hai ghar se chale hue
kab faiz pā sakā koī shāḳh-e-burīda se
kuchh phuul shāḳh par haiñ abhī tak lage hue
bhūle the sañg-hā-e-malāmat ko ham magar
kuchh zaḳhm is bahār meñ phir se hare hue
vā kar diye haiñ baḳhiye ne lākhoñ dahān-e-zaḳhm
baiThe haiñ jab se apne laboñ ko siye hue
ishqī tū pūchh kaise chhuTā kārvāñ kā saath
muḌ muḌ ke log guzre hameñ dekhe hue