har parī-vash kā e.atibār karo
zindagī sirf intizār karo
ham se nafrat karo ki pyaar karo
koī rishta to ustuvār karo
ham haiñ lazzat-kash-e-gunāh-e-vafā
dosto ham ko sañgsār karo
zindagī ho ki mai ki sachchā.ī
talḳh jo shai ho us se pyaar karo
har janam par ba-yād-e-sarv-qadāñ
jaañ supurd-e-farāz-e-dār karo
apne dāman kī chand kaliyoñ se
tum na andāza-e-bahār karo
gul ke mānind chaak chaak ho dil
itnā shā.ista-e-bahār karo
ham-safar jab bhī ho nigār-e-ġhazal
ravish-e-ḳhās iḳhtiyār karo