na ḳhudā hai na nāḳhudā hai koī
zindagī goyā sāneha hai koī
na to be-qufl hai darīcha-e-zehn
na dar-e-dil khulā huā hai koī
na mazā gumrahī meñ miltā hai
na sambhalne kā rāsta hai koī
maiñ ki tanhā thā ab bhī tanhā huuñ
phir bhī mujh se bichhaḌ gayā hai koī
zaat mat dekh karb-e-zāt ko dekh
kaise andar se TūTtā hai koī
mubtalā ruuh ke azaab meñ huuñ
kab se dil ko khurach rahā hai koī
jaane kis sub.h kī tamannā meñ
rāt-bhar sham.a saañ jalā hai koī
fursat-e-zindagī bahut kam hai
aur bahut der āshnā hai koī
tum bhī sachche ho maiñ bhī sachchā huuñ
kab yahāñ jhuuT boltā hai koī