ek tumhāre pyaar kī ḳhātir jag ke dukh apnā.e the
ham ne apne ek diip se kitne diip jalā.e the
sirf javānī ke kuchh din hī umr kā hāsil hote haiñ
aur javānī ke ye din bhī ham ko raas na aa.e the
husn ko ham ne amar kahā thā pyaar ko sachchā jaanā thā
ek javānī ke kas-bal par saare sach jhuTlā.e the
us ke binā jo umr guzārī be-masraf sī lagtī thī
us kī galī meñ umr gañvā kar bhī ham hī pachhtā.e the
be-mehrī kī tohmat bhī hai mehr-o-muravvat vāloñ par
usī havā ne murjhā.e haiñ jis ne phuul khilā.e the
ġharq-e-bāda-e-nāb hue vo chāñd se chehre phuul se jism
tum ne jin kī yaad meñ 'ishqī' jaam kabhī Takrā.e the