nuqūsh-e-rahguzar-e-shauq sab miTā denā
rahī hai jaañ so use bhī kahīñ gañvā denā
rah-e-hayāt meñ har moḌ par hai ik uljhan
bichhaḌ na jā.ūñ kahīñ dosto sadā denā
ġhubār-e-vaqt ne dhuñdlā diye haiñ is ke nuqūsh
zarā charāġh-e-mohabbat kī lau baḌhā denā
sunā hai shahr meñ phir aa gayā hai vo qātil
mile to dosto merā pata batā denā
talab to karnā mirī umr-e-rā.egāñ kā hisāb
hisāb tūl-e-shab-e-hijr kā chukā denā