phir usī shoḳh kī tasvīr utar aa.ī hai
mire ash.ār meñ muzmar mirī rusvā.ī hai
dekhne detā nahīñ duur talak dil kā ġhubār
jis se miliye vo ḳhud apnā hī tamāshā.ī hai
shahr meñ niklo to hañgāma ki har zaat ho gum
zaat meñ utro to ik ālam-e-tanhā.ī hai
zaḳhm har sañg hai us dast-e-hinā kā ham-rañg
ḳhuub us shoḳh kā andāz-e-pazīrā.ī hai
dil ne jab bhī koī saada sī tamannā kī hai
zindagī ek nayā zaḳhm lagā laa.ī hai
chaak dil laakh sahī chaak garebāñ bhī karo
iltifāt us kā ba-andāza-e-rusvā.ī hai