Shahid Ishqi

mere qarib se guzra ek ajnabi ki tarah

Shahid Ishqi

Uttar pradesh, India

1926-2006
mire qarīb se guzrā ik ajnabī kī tarah
vo kaj-adā jo milā bhī to zindagī kī tarah
milā na thā to gumāñ us pe thā farishtoñ kā
jo ab milā hai to lagtā hai aadmī kī tarah
kiran kiran utar aa.ī hai rauzan-e-dil se
kisī hasīñ kī tamannā bhī raushnī kī tarah
mirī nigāh se dekho to ham-zabāñ ho jaao
ki dushmanī bhī kisī kī hai dostī kī tarah
na milne vaale kināroñ kā naam Thahrā shauq
gurez-pā hai jahāñ husn ik nadī kī tarah
na khul sakā to lahū ho ke bah gayā hai dil
kabhī khilā to mahak uThegā kalī kī tarah
hazār sher haiñ aur ek ḳhāmushī kī adā
hazār rañg haiñ aur ek sādgī kī tarah
bahut dinoñ meñ mile haiñ ham aaj 'ishqī' se
nahīñ vo phir bhī koī shaḳhs hai usī kī tarah
Top Urdushayar.com