diye haiñ rañj saare āgahī ne
añdhere meñ rakhā hai raushnī ne
mirī rāhoñ meñ jitne pech-o-ḳham haiñ
ye sab baḳhshe haiñ terī sādgī ne
jahāñ har āshnā hai sañg-dar-dast
koī patthar na maarā ajnabī ne
hisāb-e-dostāñ dar dil bhī kyuuñ ho
kisī ko kyā diyā āḳhir kisī ne
añdheroñ meñ panāheñ DhūñDhtā huuñ
diye haiñ zaḳhm itne raushnī ne
maiñ patthar ban ke 'ishqī' jī rahā huuñ
mujhe mil kar tarāshā hai sabhī ne