Shahid Ishqi

naqd-e-dil-o-jaan uski KHatir rahn-e-jam karo

Shahid Ishqi

Uttar pradesh, India

1926-2006
naqd-e-dil-o-jāñ us kī ḳhātir rahn-e-jām karo
'mīr' ke bāda-e-ġham-ḳhurda ko mai-ḳhvāroñ meñ aam karo
qashqa khīñcho dair meñ baiTho pairvī-e-asnām karo
kesh-e-barahman ko apnāo jurm-e-vafā ko aam karo
ḳhvāh koī bohtān tarāsho yā aa.ed ilzām karo
tark-e-ta.alluq se pahle kuchh aur hameñ bad-nām karo
sāz-e-shikast-e-dil kī qīmat kaun chukāne aa.egā
gītoñ kī dūkān baḌhāo naġhmoñ ko nīlām karo
ek ḳhayāl-e-ḳhām hai maanā is kī tamannā is kā shauq
umr-e-ḳhizr mayassar ho to sirf ḳhayāl-e-ḳhām karo
nagrī nagrī phire musāfir bastī bastī chhānī ḳhaak
Tuk us zulf ke saa.e meñ bhī koī ghaḌī ārām karo
jin ke dam se ġhurbat meñ bhī bazm-e-tamannā raushan hai
pyaar un saarī māh-vashoñ ko 'ishqī' nām-ba-nām karo
Top Urdushayar.com