kuchh apnī baat kaho kuchh mirī suno mat so
ye raat phir nahīñ aane kī dosto mat so
kise ḳhabar ki sabā kyā payām le aa.e
sadā diloñ ke darīche khule rakho mat so
bujhīñ jo sham.eñ to raushan karo diloñ ke charāġh
na bujhne vaale sitāroñ kā saath do mat so
jo sun sako to suno tishna-rūh kī fariyād
misāl-e-sāġhar mai-e-daur meñ raho mat so
ḳhirad kā kahnā hai so jaao vo na aa.egā
pukār dil kī yūñhī jāgte raho mat so
na so sakeñ jo ham āvārgān-e-kūcha-e-shauq
to tum bhī shahr kī shab-tāb mah-vasho mat so
ye jaltī-bujhtī sī yādoñ kī kahkashāñ 'ishqī'
bikhar na jaa.e ġhazal hī koī kaho mat so