fasl-e-gul tohmat-e-junūñ laa.ī
bastī bastī huī hai rusvā.ī
shahr meñ jab se aa gayā huuñ tire
aur bhī baḌh ga.ī hai tanhā.ī
aarzū ek nā-shagufta kalī
jo sar-e-shāḳh-sār murjhā.ī
āshiqī ik dabī huī sī choT
bhīge mausam meñ jo ubhar aa.ī
zindagī shām-e-ġham kī bāñhoñ meñ
ik sulagtī huī sī tanhā.ī
log kahte haiñ ahl-e-dil ko kabhī
zindagī raas hī nahīñ aa.ī
hausla ho to ai ġham-e-jānāñ
kaun terā nahīñ tamannā.ī