Arshad Ali Khan Qalaq

be-zabanon ko bhi goyai sikhana chahiye

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
be-zabānoñ ko bhī goyā.ī sikhānā chāhiye
kalima añgusht-e-shahādat ko paḌhānā chāhiye
ḳhaal ruḳhsār-e-munavvar kā dikhānā chāhiye
chāñd meñ ai mehr-vash dhabbā lagānā chāhiye
tel merī aañkh ke til kā lagānā chāhiye
gesuoñ meñ panja-e-mizhgāñ kā shāna chāhiye
bahr-e-zīnat dāman-e-shamshīr meñ o jañg-jū
merī gardan kā tujhe paTThā lagānā chāhiye
āj-kal mahv-e-safā-e-āriz-e-dil-dār huuñ
mere rahne ko ab ā.īne kā ḳhāna chāhiye
ghaaT par talvār ke nahlā.īyo mayyat mirī
kushta-e-abrū huuñ maiñ kyā ġhusl-ḳhāna chāhiye
ai parī hai kis qadar aḌiyal mirā shab-dez-e-fikr
choTī ke mazmūñ kā us ko tāziyāna chāhiye
tā.ir-e-rañg-e-hinā kā murġh-e-jāñ hotā jalīs
ab nagīne ke shajar par āshiyānā chāhiye
ḳhat meñ likkhī hai haqīqat dasht-gardī kī agar
nāma-bar jañgalī kabūtar ko banānā chāhiye
josh-e-vahshat kah rahā hai nik.hat-e-gul kī tarah
aaj to dīvār-e-gulshan phāñd jaanā chāhiye
vasf-e-dandāñ meñ dur-e-mazmūñ kī hai ham ko talāsh
bahr-e-fikrat meñ dilā ġhota lagānā chāhiye
chīn-e-gesū se dikhā do ḳhāl-e-āriz kī bahār
mere murġh-e-rūh ko ye daam daanā chāhiye
is tamannā par huā huuñ ḳhaak maiñ o jañg-jū
merī miTTī ke tujhe meñDhe laḌānā chāhiye
āriz-e-tābāñ ke qul par bahr-e-daf-e-chashm-e-bad
ḳhāl-e-ruḳhsār-e-parī kā kaalā daanā chāhiye
panja-e-gulgūñ ke o gul ham hue haiñ andalīb
panj-shāḳhe par hamārā āshiyānā chāhiye
chal nahīñ saktā hamārā tausan-e-umr-e-ravāñ
baaḌh ke Dorī kā qātil tāziyāna chāhiye
ba.ad muddat zīnat-e-pahlū huā hai vo parī
aaj to ai dil tujhe baġhleñ bajānā chāhiye
huuñ maiñ ai jarrāh zaḳhmī teġh-e-nāz-e-yār kā
Tāñke bhī gardan ke Dorī se lagānā chāhiye
atlas-e-gardūñ se atlas hai fuzūñ ai māh-rū
kahkashāñ kā tere shimle meñ batānā chāhiye
nashsha haiñ ik bahr-e-ḳhūbī ke hamārī qabr par
chādar-e-āb-e-ravāñ kā shāmiyāna chāhiye
mid.hat-e-sāqī-e-kausar tujh ko likhnī hai 'qalaq'
pahle āb-e-hauz-e-kausar se nahānā chāhiye
Top Urdushayar.com