lutf-e-bahār mushfiq-e-man dekhte chalo
bulbul kā Dhañg rañg-e-chaman dekhte chalo
bāñkoñ ko bāñkpan ko milāo na ḳhaak meñ
tan tan ke yuuñ na apnā badan dekhte chalo
jaate agar ho kūcha-e-qātil kī sair ko
kapḌā bhī thoḌā bahr-e-kafan dekhte chalo
chashm-e-butān-e-dahr kī aafat haiñ shoḳhiyāñ
sahrā-e-husn ke bhī hiran dekhte chalo
kyā kar rahī hai pesha-e-mashshātgī bahār
ārā.ish-e-urūs-e-chaman dekhte chalo
kartī hai rāh-e-shauq meñ kis kis ko pā.emāl
raftār-e-yār ke bhī chalan dekhte chalo
aa.e ho said-gāh-e-jahāñ meñ to ai 'qalaq'
tarz-e-shikār-e-tīr-fagan dekhte chalo