ye jī meñ aatā hai jal jal ke har zamāñ nāseh
ki aag le ke jalā duuñ tirī zabāñ nāseh
na man.a ishq-e-majāzī se kar mujhe nādāñ
yahī hai bām-e-haqīqat kī nardbāñ nāseh
maiñ tark-e-ishq-e-kamar yak-ba-yak karūñ kyūñkar
samajh ke mujh ko nasīhat karo miyāñ nāseh
zalīl hogā tū ik roz pand-e-bejā se
tujhe ḳharāb karegī tirī zabāñ nāseh
ḳhudā ke vāste bak bak ke merā maġhz na khā
na tark hogī kabhī ulfat-e-butāñ nāseh
bajā-e-pand dilātā hai husn par raġhbat
hazār shukr ki paayā mizāj-dāñ nāseh
qubūl itā.at-e-pīr-e-muġhāñ badal karnā
hamārī tarah se hotā agar javāñ nāseh
nasīhat un kī kahānī kī tarah suntā huuñ
maiñ jāntā huuñ ki hai ek qissa-ḳhvāñ nāseh
jahāñ hasīñ nazar aayā koī pise vahīñ ham
hamāre saath phiregā kahāñ kahāñ nāseh
za.iif ho ke samajhtā nahīñ ta.ajjub hai
karūñ shabāb meñ tark ulfat-e-butāñ nāseh
karam kiyā hai ġham-e-ishq ne mire dil meñ
maiñ kis tarah na karūñ pās-e-mehmāñ nāseh
ham aap band kiyā karte haiñ hazāroñ ko
hamāre sāmne kholegā kyā zabāñ nāseh
butoñ kā kalima paḌhe tū abhī hamārī tarah
kamāl-e-ishq agar puḳhta ho ayaañ nāseh
maiñ vo huuñ āshiq-e-dīvāna gar mujhe kī pand
ba-rañg-e-jaib uḌā dūñgā dhajjiyāñ nāseh
kahīñ hamārī tarah ye bhī phañs gayā shāyad
kuchh āj-kal hai bahut ham pe mehrbāñ nāseh
'qalaq' na harf-e-nasīhat zabāñ pe laa.e vo phir
jo sun le merī mohabbat kī dāstāñ nāseh