roz-e-avval se asiir ai dil-e-nāshād haiñ ham
parvarish-yāfta-e-ḳhāna-e-sayyād haiñ ham
kis tarah se na pise dil ruḳh-e-gandum-gūñ par
āqibat hazrat-e-ādam hī kī aulād haiñ ham
jo laḌakpan se hai gahvāra-e-betābī kī
nāz-parvarda-e-ishq-e-sitam ījād haiñ ham
kyuuñ na ho ranj-e-asīrī-e-qafas se rāhat
ḳhāna-zād-e-chaman-e-gulshan-e-bedād haiñ ham
ḳhusrav-e-shahr-e-adā hai jo vo rashk-e-shīrīñ
koh-e-andoh-o-ġham-o-yās ke farhād haiñ ham
dīd-e-san.at se hai yaañ ġhāyat-e-dīd-e-sān.e.a
ai buto shefta-e-husn-e-ḳhudā-dād haiñ ham
qiil se roke use ham pe jab laate haiñ
tifl-e-ashk apne ye kahte haiñ ki ustād haiñ ham
qaid se bhī na rihā ho ke havā kuchh dil shaad
mubtalā-e-ġham-e-tanhāi-e-sayyād haiñ ham
chaman-e-dahr meñ be-vaj.h nahīñ haiñ nālāñ
andalīb-e-gul-e-ruḳhsāra-e-sayyād haiñ ham
apnī mīrās meñ haiñ dasht-o-jabal ai vahshat
jā-nashīñ qais ke haiñ vāris-e-farhād haiñ ham
hathkaḌī kartī hai bai.at to qadam lete haiñ ḳhaar
tere dīvāne jo ai rashk-e-parī-zād haiñ ham
qadr apnī na jahāñ meñ huī bā-vasf-kamāl
sifat-e-bū-e-gul is baaġh meñ barbād haiñ ham
shikva kartā huuñ tabāhī ke to farmāte haiñ
ḳhāna-barbādī-e-ushshāq kī buniyād haiñ ham
jāñ-nisāroñ se hai teġh-e-nigah-e-yār kā qaul
dam meñ lākhoñ ko kareñ qatl vo jallād haiñ ham
ham shikāyat nahīñ kuchh karte tumhīñ munsif ho
vājibur-rahm haiñ yā qābil-e-bedād haiñ ham
ham samajhte haiñ paḌhā.ī huī bāteñ na karo
tifl-e-maktab ho tum ai jaañ abhī ustād haiñ ham
gesū-e-yār ke saude ne kiyā ḳhāna-ḳharāb
kyā huā ḳhvāhī-e-sayyad meñ barbād haiñ ham
aaj hotī hai 'qalaq' qata-e-ummīd-e-dīdār
nigarāñ is liye sū-e-ruḳh-e-jallād haiñ ham