Arshad Ali Khan Qalaq

aariz mein tumhaare kya safa hai

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
aariz meñ tumhāre kyā safā hai
muñh aa.ina apnā dekhtā hai
dumbāla jo surme kā banā hai
ye teġh-e-nigah kā par tulā hai
bīmār jo terī chashm kā hai
nargis pe kab aañkh Dāltā hai
do laakh fareb-e-hazrat-e-ishq
banda na kahegā but ḳhudā hai
sab kahte haiñ jis ko māh-e-kāmil
naqsha kaf-e-pā-e-yār kā hai
gardish meñ hai chashm zer-e-abrū
kyā nīmcha charḳh par chaḌhā hai
maarā hai dikhā ke dast-e-rañgīñ
shāhid mire ḳhuun kī hinā hai
phir aa.e bahār phir ho vahshat
dil roz duā.eñ māñgtā hai
kāñToñ se ye kah rahī hai lailā
majnūñ mirā barahna-pā hai
joban pe haiñ ab to anār-e-pistāñ
naḳhl-e-qad-e-yār kyā phalā hai
be-vaj.h jo phir ga.e ho phir jaao
bande kā bhī ai buto ḳhudā hai
jo chāho karo ki tum ho muḳhtār
majbūr huuñ zor kyā mirā hai
kartī nahīñ kyuuñ safar mirī ruuh
kyā band adam kā rāstā hai
rone meñ haiñ yaad daañt us ke
har kū har ashk be-bahā hai
vasf us kā 'qalaq' ho kis zabāñ se
vo but ik qudrat-e-ḳhudā hai
Top Urdushayar.com