Arshad Ali Khan Qalaq

sair karte use dekha hai jo bazaron mein

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
sair karte use dekhā hai jo bāzāroñ meñ
mashvare hote haiñ yūsuf ke ḳharīdāroñ meñ
chāhte haiñ ki koī ġhairat-e-yūsuf phañs jaa.e
kis qadar khoTe khare bante haiñ bāzāroñ meñ
do-qadam chal ke jo tū chaal dikhā de apnī
Thokareñ khāte phireñ kabk bhī kohsāroñ meñ
ḳhūn-e-ushshāq se lāzim hai ye parhez kareñ
ki shumār aap kī āñkhoñ kā hai bīmāroñ meñ
shaiḳh-e-ka.aba ho diyā barhaman-e-but-ḳhāna
ek hī ke dar ye donoñ haiñ parastāroñ meñ
dekhiye kitne ḳharīdār haiñ kyā uThnā hai
jins dil bhej ke un ko koī hai bāzāroñ meñ
fasl-e-gul aa.ī ḳhizāñ bhī hue gulzār magar
tā.ir-e-dil hai hunūz un ke giraftāroñ meñ
sair ke vāste niklā jo vo rashk-e-yūsuf
band raste hue ThaT lag ga.e bāzāroñ meñ
ye nayā yaar kī sarkār meñ dekhā insāf
be-gunah bhī gine jaate haiñ gunahgāroñ meñ
kahīñ DhūñDe se bhī milte the na arbāb-e-kamāl
jin dinoñ qadr-shanāsī thī ḳharīdāroñ meñ
teġh-e-qātil ke gale milte haiñ ḳhush ho ho kar
īd-e-qurbāñ hai mohabbat ke gunah-gāroñ meñ
kisī amn se na uljhā na hui sohbat-e-gul
ai za.īfī tan-e-zār apnā hai un ḳhāroñ meñ
'qalaq' isbāt-e-dahan muñh ko na khulvā.e kahīñ
hai baḌī baat agar baat rahī yāroñ meñ
Top Urdushayar.com