miltā hai qaid-e-ġham meñ bhī lutf-e-fazā-e-bāġh
chāk-e-qafas se aatī hai farfar havā-e-bāġh
roke zabāñ na bulbul-e-bustāñ sarā-e-bāġh
dohrā.e phir mire se kaho mājrā-e-bāġh
sunte haiñ ab kī aa.ī hai kis dhuum se bahār
kyā jī phaḌak rahā hai qafas meñ barā.e baaġh
kin chahchahoñ meñ apnī basar hotī thī mudām
ai ham-safīr kyā ho bayāñ mājrā-e-bāġh
guzre nasīm idhar se to pūchheñge ham asiir
ham ko bhī yaad karte haiñ naġhma-sarā-e-bāġh
ai ham-safīr ab to chale qaid ho ke ham
taqdīr dekhiye hameñ phir kab dikhā.e baaġh
mujh mast kā chaman meñ shanāsā koī nahīñ
ik duḳht-e-raz qadīm se hai āshnā-e-bāġh
paate haiñ sarv-e-gul meñ tirī shakl qadd-o-ruḳh
furqat meñ jī kahīñ nahīñ lagtā sivā.e baaġh
us din se apne bulbul-e-dil ko hai ishq-e-gul
gulzār-e-dahr meñ huī jaise binā-e-bāġh
miltā nahīñ hai naḳhl-e-tamannā se yaañ samar
phir koī kis umiid pe is jā lagā.e baaġh
nargis kī hai vo aañkh na gul kā vo rañg hai
chaltī hai ab kī saal muḳhālif havā-e-bāġh
ab chahchahe haiñ vo na navā-sanjiyāñ haiñ vo
shāyad guzar gayā 'qalaq'-e-ḳhush-navā-e-bāġh