Arshad Ali Khan Qalaq

tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
tāsīr jazb mastoñ kī har har ġhazal meñ hai
e.ajāz baḌ meñ hai to karāmat zaTal meñ hai
dil meñ jo apne yaar hai to dil baġhal meñ hai
phir kyuuñ hai ġham ki sāhab-e-ḳhāna mahal meñ hai
kitnā ġhurūr hai tumheñ husn-o-jamāl par
go yād-e-yār-e-husn tumhāre amal meñ hai
hai yaad dil meñ panja-e-rañgīn-e-yār kī
mehñdī ke chor kā guzar apne mahal meñ hai
bad-tar ḳhizāñ se hai hameñ is baaġh kī bahār
boī nifāq phuul meñ hī zahar phal meñ hai
lete haiñ bose un lab-o-gesū ke rāt-din
mulk-e-yaman se tāḳhtan apne amal meñ hai
mun.im ye kār-ḳhāne haiñ duniyā ke kar na fikr
koī hai jhoñpaḌe meñ to koī mahal meñ hai
jo ban gayā vo pech magar un ke haiñ vahī
rassī kā bal huzūr kī zulfoñ ke bal meñ hai
pahlū meñ mujh hazīñ ke Tapaktā hai rāt-din
yārab ye dil hai yā koī phoḌā baġhal meñ hai
itnā lazīz bāġh-e-jahāñ meñ samar hai kaun
jo zā.iqa nihāl-e-tamannā ke phal meñ hai
hasrat hai ham bhī kahte kisī din ye ai falak
ai dil mubārak aaj to dilbar baġhal meñ hai
dushnām de ke bose ye kah kah ke dete haiñ
in.aam gāliyoñ ke ye nemul-badal meñ hai
laayā hai rañg phir gul-e-dāġh-e-junūñ mirā
shāyad nuzūl-e-nayyar-e-āzam hamal meñ hai
mujh riñd-e-bādah-kash ko ye jo ḳhauf-e-mohtasib
dil kī tarah chhupī huī botal baġhal meñ hai
bahr-e-sarashk dīda-e-dil meñ hai maujzan
dekho tilism-e-husn ki dariyā kañval meñ hai
ai mai-kasho tumhārī bhī dāvat kareñge ham
urs-e-janāb-e-pīr-e-muġhāñ āj-kal meñ hai
sān.e.a ne vo dahan na banāyā na kuchh likhā
ḳhālī jagah navishta-e-roz-e-azal meñ hai
ḳhat bhī diyā to qāsid-e-ġhaflat-shi.ār ko
naama mirā bañdhā huā bāzū-e-shal meñ hai
dast-e-junūñ ne phaaḌ ke pheñkā idhar-udhar
dāman abad meñ hai to garebāñ azal meñ hai
ashkoñ ke badle ḳhuun ke qatre Tapakte haiñ
battī hamāre zaḳhm kī raushan kañval meñ hai
dil phuk rahā hai garche ham āġhosh hai vo gul
pahlū meñ mere ḳhuld hai dozaḳh baġhal meñ hai
bīmār-e-ishq kahte haiñ dārushshifā use
aisī hī jo hasīn farañgī-mahal meñ hai
likhnā thā jo kuchh aap ko pahle hī likh diyā
hāl-e-abad bhī daftar-e-roz-e-azal meñ hai
pahlū meñ dil hamāre hai zeb-e-kanār-e-yār
āġhosh meñ hai dost to dushman baġhal meñ hai
va.ada kiyā thā aaj so phir kal pe Tal gayā
āḳhir hamārī maut isī āj-kal meñ hai
lapkā paḌā hai husn-parastī kā kis qadar
jab dekhiye 'qalaq' ko farañgī-mahal meñ hai
Top Urdushayar.com