Arshad Ali Khan Qalaq

nahin chamke ye hansne mein tumhaare dant anjum se

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
nahīñ chamke ye hañsne meñ tumhāre daañt anjum se
nikal aa.ī taḌap kar barq āġhosh-e-tabassum se
karo tum mujh se bāteñ aur maiñ bāteñ karūñ tum se
kalīm-ullāh ho jā.ūñ maiñ ejāz-e-takallum se
sadā-e-lan-tarānī aatī hai un ke takallum se
girā deñ tūr-e-dil par sā.iqa barq-e-tabassum se
falak ko vajd hogā ai parī tere tabassum se
utar aa.egī zohra raqs kartī bazm-e-anjum se
ye shauq-e-mai-kashī majnūñ banā kar mujh ko laayā hai
nikal aa.e kahīñ lailā-e-mai bhī mahmil-e-ḳham se
kiyā dāñtoñ ko rañgīñ vaah rahī bātoñ kī rañgīnī
lagī āb-e-guhar meñ aag lo barq-e-tabassum se
samand-e-nāz kī Tāpoñ se sar Takrā.eñ sab āshiq
pilā sharbat shahādat kā kisī din kāsa-e-sam se
jo vo mehr-e-sip.har-e-husn nāche apnī mahfil meñ
to zohra mash.al-e-mah le ke aa.e bazm-e-anjum se
usī din phuul haiñ jis din vo gul turbat pe aa baiThe
sivum se kuchh ġharaz mujh ko na kuchh matlab hai panjum se
jo uljhe mohtasib maiḳhāne meñ ham jaa.eñ masjid ko
ḳhudā ke ghar chaleñ sar phoḌ kar ḳhisht-e-sar-e-ḳhum se
firāq-e-yār meñ merī tarah se ye bhī ro.e haiñ
savād-e-shab nahīñ kājal bahā hai chashm-e-anjum se
huā maiñ riñd-mashrab ḳhaak mar kar is tamannā meñ
namāz āḳhir paḌeñge vo kisī din to tayammum se
vahī chitvan vahī tevar mirī āñkhoñ meñ phirte haiñ
ġhazab meñ paḌ gayā dekhā abas tum ne tarahhum se
kahāñ tak eḌiyāñ ragḌeñ galā kaaTo galā kaaTo
uThāo tum na ḳhanjar baaz aayā is tarahhum se
jo va.ada karte ho to sadma-e-furqat na dikhlānā
masīhā hote ho mash.hūr jī uThtā huuñ maiñ tum se
mudallal jo suḳhan apnā hai vo burhān-e-qāte.a hai
tabī.at meñ ravānī hai ziyāda haft-qulzum se
mare haiñ ishq meñ ik gul ke kyuuñ qur.āñ mañgāte ho
paḌhī jaa.e gulistāñ meñ sivum meñ bāb-e-panjum se
jo pahuñche tā-falak shohra tumhārī ḳhud-faroshī kā
ḳharīdārī ko aa.e mushtarī bāzār-e-anjum se
evaz chūne ke gaarā laa.e mai kā chāhiye saaqī
hamārī qabr agar pakkī ho to ḳhisht-e-sar-e-ḳhum se
hamesha ḳhaak chhanvāoge misl-e-qais sahrā kī
'qalaq' ko ye na thī ummīd ai lailā-manash tum se
Top Urdushayar.com