junūñ barsā.e patthar āsmāñ ne mazra-e-jāñ par
jafā-e-pīr sabqat le ga.ī bedād-e-tiflāñ par
lagāyā itr jab ham ne lab-e-rañgīn-e-jānāñ par
to goyā tel chhiḌkā ātish-e-la.al-e-badaḳhshāñ par
nahīñ ye mo.ajiza mauqūf kuchh mūsī-e-imrāñ par
pyāle haiñ yad-e-baizā kaf-e-pur-nūr-e-mastāñ par
kabhī chaltī nahīñ bād-e-bahārī apne gulshan meñ
vo bulbul huuñ ki vārafta huuñ maiñ gul-hā-e-hirmāñ par
bayāz-e-kū-e-jānāñ bulbul-e-shīrāz gar dekhe
sifat us bostāñ kī likkhe aurāq-e-gulistāñ par
kiyā qatl us ne mujh ko maiñ ne kī qātil kī ārā.ish
jamāyā ḳhuun kā lākhā lab-e-shamshīr-e-burrāñ par
pas-e-dīvār taḌpoge kahāñ tak shauq kahtā hai
kamand-e-āh se chaḌh jaao bām-e-qasr-e-jānāñ par
tasavvur bañdh gayā vahshat meñ kis ke rū-e-raushan kā
ki aalam vādī-e-aiman kā hai apne bayābāñ par
hamesha sabz rahtā hai gulistāñ jūd-o-baḳhshish kā
kabhī bād-e-ḳhizāñ chalte na dekhī bāġh-e-ehsāñ par
huā jaame se bāhar kis qadar shauq-e-shahādat hai
paḌī jis dam nazar qātil tirī shamshīr-e-uryāñ par
ye kis mehr-e-sip.har-e-husn ne rakkhe qadam apne
gumān-e-mahr hai har zarra-e-ḳhāk-e-shahīdāñ par
tumhārā muskurānā jāntā huuñ jaan kho.egā
karegī ek din barq-e-tabassum ḳhirman-e-jāñ par
nahīñ bas āj-kal sultān iqlīm-e-shahādat meñ
hai apne naam kā sikka zar-e-ganj-e-shahīdāñ par
miTā diiñ teziyāñ ai zo.af tū ne dasht-e-vahshat meñ
paḌā hai sūrat-e-tār-e-garebāñ chāk-e-dāmāñ par
banā kar til ruḳh-e-raushan pe vo shoḳhī se kahte haiñ
ye kājal ham ne paarā hai charāġh-e-māh-e-tābāñ par
unheñ parvā nahīñ hai kuchh na ho gar baaḌ kā Dorā
ki Dore Dālte haiñ yaar kī ham teġh-e-uryāñ par
dahan ho us ke paidā aur zabāñ us kī huvaidā ho
zabān-e-zaḳhm ko rakh duuñ zabān-e-teġh-e-burrāñ par
paḌā aks-e-shafaq to naaz se kahne lagā qātil
chaḌhā sone kā paanī gumbad-e-qabr-e-shahīdāñ par
hamāre yaar ne kiiñ chhup ke bāteñ pyaar kī ham se
lagāyā aaj poshīda ye marham zaḳhm-e-pinhāñ par
agar raushan karūñ us ko charāġh-e-dāġh-e-saudā se
dhuāñ zanjīr ban jaa.e sar-e-sham-e-shabistāñ par
huā dhokā jo ham ko teġh-e-ḳhūñ-ālūd qātil kā
galā ragḌā kiye ham mauja-e-ḳhūn-e-shahīdāñ par
mazāmīñ us ke jab bāñdhe to bandish saaf dī ham ne
jilā kar dī hamesha gauhar-e-mazmūn-e-dandāñ par
pas-e-murdan 'qalaq' ehsāñ kiyā ye nā-tavānī ne
subuk merā janāza ho gayā dosh-e-azīzāñ par