Arshad Ali Khan Qalaq

tha qasd-e-qatl-e-ghair magar main talab hua

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
thā qasd-e-qatl-e-ġhair magar maiñ talab huā
jallād mehrbān huā kyā sabab huā
afsos kuchh na merī rihā.ī kā Dhab huā
chhūTā udhar qafas se idhar maiñ talab huā
tashrīf laa.e aap jo maiñ jāñ-ba-lab huā
us vaqt ke bhī aane kā mujh ko ajab huā
niklegī ab na hasart-e-qatl ai nigāh-e-yās
qātil ko rahm aa gayā mujh par ġhazab huā
ho jā.egā kuchh aur hī rañg ahl-e-hashr kā
qātil se ḳhūñ-bahā jo hamārā talab huā
shāyad baḌhā.īñ yaar ne mannat kī beḌiyāñ
ab kī mujhe junūñ na huā kyā sabab huā
pinhāñ tamām zulmat-e-kufr-o-sitam huī
tāle.a jūñhī vo mehr-e-sip.har-e-arab huā
ham Duub jā.eñge araq-e-infi.āl meñ
a.amāl-nāma hashr meñ jis dam talab huā
itnā to jazb-e-dil ne dikhāyā mujhe asar
chain us ko bhī na aayā maiñ betāb jab huā
rote the aql-o-hosh hī ko ham to ishq meñ
lo ab to dil se sabr bhī ruḳhsat-talab huā
ai be-ḳhudī-e-dil mujhe ye bhī ḳhabar nahīñ
kis din bahār aa.ī maiñ dīvāna kab huā
shādī shab-e-visāl kī mātam huī mujhe
hañgām-e-sub.h-e-yār jo ruḳhsat-talab huā
bose dikhā dikhā ke hameñ le rahā hai ye
kyuuñ itnā be-lihāz tirā ḳhāl-e-lab huā
kyā jaan kar malāl diye kab kā thā ġhubār
kis roz āsmāñ se maiñ rāhat-talab huā
duniyā meñ ai 'qalaq' jo pur-armān ham rahe
nāshād nā-murād hamārā laqab huā
Top Urdushayar.com