ā.eñge vo to aap meñ hargiz na ā.eñge
ham apnī be-ḳhudī ke tamāshe dikhā.eñge
ham naqd-e-dil jo siine meñ apne na pā.eñge
duzd-e-nigāh-e-yār ko chorī lagā.eñge
ai be-ḳhudī jo aap meñ ham ab kī ā.eñge
phir dil-lagī se bhī nahīñ dil ko lagā.eñge
jab sū-e-dasht aap ke dīvāne jā.eñge
farhād-o-qais duur talak lene ā.eñge
parvāna vo kaheñge to ham un ko sho.ala-rū
ham bhī jalā.eñge jo vo ham ko jalā.eñge
kyuuñ dābte haiñ hoñTh vo dāñtoñ meñ baar baar
kyā teġh-e-lab ko āb-e-guhar meñ bujhā.eñge
dām-e-balā se dekhiye kyūñkar najāt ho
kab tak vo ham ko zulf kī galiyāñ jhakā.eñge
vahshī-e-chashm-e-yār jo niklegā shahr se
āñkhoñ ko Dhele āhū-e-sahrā lagā.eñge
hūroñ se chal ke dād-e-jamāl us kī leñge ham
tasvīr-e-yār qasr-e-jināñ meñ lagā.eñge
uTTheñge phir na baiTh ke mānind-e-naqsh-e-pā
ham apne zo.af kī tumheñ tāqat dikhā.eñge
jaage hue firāq ke sote haiñ zer-e-ḳhāk
bad-ḳhvāb hoñ ke ham jo farishte jagā.eñge
lene meñ jins-e-dil ke to ujlat kamāl hai
dene meñ naqd-e-vasl ke barsoñ jhakā.eñge
garm-e-ḳhirām hoñge agar sehn-e-bāġh meñ
añgāroñ par vo kabk-e-chaman ko luTā.eñge
sīna-sipar haiñ āshiq-e-jāñ-bāz saikaḌoñ
teġh-e-nigāh-e-nāz vo kab āzmā.eñge
ab kī to hijr-e-yār meñ ham gor jhāñk aa.e
jiite haiñ to kisī se na phir dil lagā.eñge
ai shahsavār-e-nāz ye miTtā hai baar baar
tere samand-e-husn ko ham ḳhud banā.eñge
ham kyuuñ itā.at in kī kareñ fā.eda 'qalaq'
kyā ye butān-e-dahr ḳhudā se milā.eñge