Arshad Ali Khan Qalaq

bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
bolegā kaun āshiq-e-nādār kī taraf
saarā zamāna aaj to hai yaar kī taraf
jin aañkh se liyā thā dil ab vo rahī na aañkh
hairat se dekhtā huuñ ruḳh-e-yār kī taraf
darbāñ kabhī jo roke vo nāzuk mizāj haiñ
muñh kar ke so.eñ ham na dar-e-yār kī taraf
haare hue ho bosoñ kā kar lo abhī hisāb
fāzil hai kuchh hamārā hī sarkār kī taraf
baiThā hai kab se muntazir yaañ par nigāh-e-mehr
dekh aañkh uThā ke tālib-e-dīdār kī taraf
paḌtī hai jabki abrū-e-qātil pe merī aañkh
rah rah ke dekhtā hai vo talvār kī taraf
dāġh-e-riyā sharāb se dhone ke vāste
zāhid chalā hai ḳhāna-e-ḳhummār kī taraf
bulbul ne kī bahār meñ kis yaas se ik aah
chāk-e-qafas se dekh ke gulzār kī taraf
paḌhtā huuñ fātiha maiñ sū-e-qabr-e-kohkan
hotā hai jab guzar kabhī kohsār kī taraf
yuuñ dil pe mere paḌtī hai aañkh us kī jis tarah
jallād dekhtā hai gunahgār kī taraf
kartā hai shauq-e-dil ke evaz mol husn kā
dallāl boltā hai ḳharīdār kī taraf
ā.īna saañ huuñ āmad-e-dilbar kā hairatī
ruḳh sū-e-dar hai pusht hai dīvār kī taraf
phūloñ meñ ye kahāñ ḳhalish-e-ḳhār kā mazā
jaanā junūñ na dasht se gulzār kī taraf
barbād kar na ḳhaak mirī ai havā-e-shauq
le chal uḌā ke kūcha-e-dil-dār kī taraf
kaun ab kare hamārī taraf-dārī ai 'qalaq'
dil tak hai apnā apne dil-āzār kī taraf
Top Urdushayar.com