sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil kā
huā tumhāre bigaḌne se faisla dil kā
bahār aate hī kunj-e-qafas nasīb huā
hazār haif ki niklā na hausla dil kā
chalā hai chhoḌ ke tanhā kidhar tasavvur-e-yār
shab-e-firāq meñ tujh se thā mashġhala dil kā
vo riñd huuñ ki mujhe hatkaḌī se bai.at hai
milā hai gesū-e-jānāñ se silsila dil kā
vo zulm karte haiñ ham par to log kahte haiñ
ḳhudā bure se na Daale muāmla dil kā
hazār fasl-e-gul aa.e junūñ! vo josh kahāñ
gayā shabāb ke ham-rāh valvala dil kā
ḳhudā ke haath hai ab apnā ai 'qalaq' insāf
butoñ se hashr meñ hogā muāmla dil kā