Arshad Ali Khan Qalaq

partaw-e-ruKH ka tere dil mein guzar rahta hai

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
partav-e-ruḳh kā tire dil meñ guzar rahtā hai
saath ā.īne ke ā.īne kā ghar rahtā hai
āj-kal josh pe ye dīda-e-tar rahtā hai
mardum-e-shahr ko tūfān kā Dar rahtā hai
qatl-e-ushshāq unheñ madd-e-nazar rahtā hai
nīmcha āTh-pahr zeb-e-kamar rahtā hai
soz-e-ulfat kā hai parvāna dil-e-bazm apnā
ye vo pamba hai nihāñ jis meñ sharar rahtā hai
bazm-e-ulfat meñ qadam rakhte haiñ jo log apnā
sham.a kī tarah kaf-e-dast pe sar rahtā hai
chashm-e-maigūñ se hai saaqī kī mohabbat jis ko
nashsha-e-mai meñ vo chor āTh-pahr rahtā hai
qaul-o-iqrār pe kyuuñ chhoḌ diyā dahan-e-yār
is nadāmat se garebān meñ sar rahtā hai
ab to dam-bhar unheñ fursat nahīñ ārā.ish se
aa.ina āTh-pahr pesh-e-nazar rahtā hai
kushta-e-teġh-e-nigah tālib-e-dīdār raheñ
chashm-e-jānāñ ko ye manzūr-e-nazar rahtā hai
ye bhī haiñ us falak-e-husn ke juuyā mirī tarh
chāñd sūraj ko jo din-rāt safar rahtā hai
jab bigaḌte haiñ to manñe kā vo lete nahīñ naam
pahroñ apnā qadam-e-yār pe sar rahtā hai
belā bāTeñge savārī meñ kisī gul ke ye kyā
ġhunchoñ kī muTThiyoñ meñ kis liye zar rahtā hai
maiñ vo dīvāna huuñ jab fasl-e-bahār aatī hai
mere vīrāne meñ pariyoñ kā guzar rahtā hai
vasl kī shab bhī nahīñ chain se kaTne paatī
har-dam āzurdagi-e-yār kā Dar rahtā hai
dekhne vaale samajhte haiñ abas tār-e-nazar
merī āñkhoñ meñ tirā mū-e-kamar rahtā hai
ġhair ke bas meñ 'qalaq' kyuuñ na ho vo sīm-badan
qābū-e-yār meñ ganjīna-e-zar rahtā hai
Top Urdushayar.com