partav paḌā jo āriz-e-gulgūn-e-yār kā
uThā tanūr-e-lāla se tūfāñ bahār kā
ham-chashm laala hai jo dil-e-dāġh-dār kā
nargis ko ham sā āriza hai intizār kā
likhtā hai vasf sho.ala-e-ruḳhsār-e-yār kā
jā-e-varaq ho haath meñ pattā chīnār kā
bīmār-e-ishq huuñ lab-o-dandān-e-yār kā
nusḳhe meñ mere chāhiye sharbat anaar kā
rishte kī tarah se dur-e-dandāñ kā tere zaar
sākin hai kūcha-e-guhar-e-āb-dār kā
āsār-e-ishq-e-ḳhāk se bhī apne haiñ ayaañ
be-vaj.h rañg zard nahīñ hai ġhubār kā
har zarra apnī ḳhaak kā hai chashm-e-intizār
yārab idhar bhī ho guzar us shahsavār kā
ham āsiyoñ ko ba.ad-e-fanā bhī ye ḳhauf hai
taḳhta ulaT na jaa.e zamīn-e-mazār kā
kaliyāñ talak na niklī thiiñ jab se asiir huuñ
dekhā mazā na kuchh chaman-e-rozgār kā
chashmān-e-yār karne lagīñ haiñ diloñ ko said
in āhuoñ ko shauq huā hai shikār kā
vo dil-jale haiñ sho.ala-e-javvāla ban gayā
uTThā jo gard-e-bād hamāre ġhubār kā
yād-e-mizha ne bāġh-e-dil-e-dāġh-dār meñ
khaTkā lagā diyā ḳhalish-e-nok-e-ḳhār kā
kushta huuñ ek tark ke tīr-e-nigāh kā
andāz-e-murġh dil meñ hai zaḳhmī shikār kā
raḳht-e-safed sūrat-e-mīnā-e-mai hai surḳh
kyā rañg phuuT niklā hai andām-e-yār kā
phūloñ kī jā pyāla ho labrez phuul se
tiijā hai mai-kasho 'qalaq'-e-bāda-ḳhvār kā