Arshad Ali Khan Qalaq

dil mein aate hi KHushi sath hi ek gham aaya

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
dil meñ aate hī ḳhushī saath hī ik ġham aayā
iid aa.ī to maiñ samjhā ki moharram aayā
ḳhūn-e-dil ho gayā shāyad dam-e-girya jo aaj
evaz-e-ashk lahū āñkhoñ se paiham aayā
nāzukī kahte haiñ us ko ki hazāroñ bal khāte
tā-kamar yaar kā jab gesu-e-pur-ḳham aayā
dil meñ hai jalva-kunāñ chāh-e-zanaḳhdāñ kā ḳhayāl
ain ka.abe meñ nazar chashma-e-zamzam aayā
phir bahār aa.egī phir dāġh-e-junūñ chamkeñge
phir sū-e-burj-e-hamal nayyar-e-āzam aayā
pāk-dāman hai to aisā ki pa.e sidq-kalām
shān-e-ismat meñ tirī sūra-e-mariyam aayā
dī duhā.ī tirī rahmat kī gunahgāroñ ne
lab-e-vā.iz pe jūñhī nām-e-jahannam aayā
dasht-e-ġhurbat meñ ba-juz bekasī-o-yās-o-alam
qabr-e-majnūñ pe na koī pa.e mātam aayā
sher-goī hai vo shai jin kā sila dene ko
ḳhvāb-e-firdausī-e-ḳhush-fikr meñ rustam aayā
phir gayā āñkhoñ meñ us kaan ke motī kā ḳhayāl
gosh-e-gul tak na koī qatra-e-shabnam aayā
jīte-jī hī ke the sab yaar pas-e-marg 'qalaq'
gor par koī na ġham-ḳhvār na hamdam aayā
Top Urdushayar.com