haiñ teġh-e-nāz-e-yār ke bismil alag alag
siine meñ haiñ tapāñ jigar-o-dil alag alag
qātil to rashk dekh zarā apne kushtoñ kā
maqtal meñ bhī taḌapte haiñ bismil alag alag
kyā intizām hai mire lailā-jamāl kā
majnūñ ravāñ haiñ sab pas-e-mahmil alag alag
dekho bashar meñ san.at-e-ḳhallāq-e-rozgār
sab ek haiñ magar hai shamā.il alag alag
farmāte haiñ milāp kā kartā huuñ jab savāl
tū baat karne ke nahīñ qābil alag alag
ik shefta hai zulf kā ik mubtalā-e-ruḳh
haiñ shaiḳh-o-barahman tire qaa.il alag alag
mere tumhāre bulbul-o-gul muñh chaḌheñge kyā
donoñ ko kar chukā huuñ maiñ qaa.il alag alag
makr-o-nifāq ishq se muddat talak rahā
maiñ dil se aur mujh se mirā dil alag alag
tā ho tamīz lazzat-e-bādām-o-shahd meñ
bosoñ kā chashm-o-lab ke huuñ saa.il alag alag
kis kis ko duuñ maiñ saḳht musībat meñ jaan hai
ruḳhsār-o-zulf māñgte haiñ dil alag alag
kyā mehr-o-māh kyā gul-o-shamshād aa.ina
sab ho chuke haiñ tere muqābil alag alag
yaktā tū vo hai momin-o-kāfir yahūd-o-gabr
vahdat ke tere sab haiñ ye qaa.il alag alag
pā-e-nigāh-e-ahl-e-nazar ke paḌe haiñ niil
ruḳhsār-e-nāznīñ pe nahīñ til alag alag
aage to saath rahte the ham haala saañ par ab
rahtā hai ham se vo mah-e-kāmil alag alag
andāz-o-nāz-o-ġhamza-o-shoḳhī-o-kajravī
haiñ ek mere dam ke ye qātil alag alag
qabze pe haath rakh ke 'qalaq' ne milā.ī aañkh
kal har raqīb se sar-e-mahfil alag alag