baaqī na hujjat ik dam-e-isbāt rah ga.ī
sābit kiyā jo us kā dahan baat rah ga.ī
kyā jald vasl-e-yār kī kam raat rah ga.ī
jo baat chāhte the vahī raat rah ga.ī
bad-nāmiyoñ ke Dar se vo milte haiñ gaah gaah
chorī-chhupe kī un se mulāqāt rah ga.ī
giryāñ vo huuñ jo abr-e-mizha kī jhaḌī lagī
muñh merā dekh dekh ke barsāt rah ga.ī
har-vaqt baat baat pe dete ho jhiḌkiyāñ
kyuuñ sāhab ab hamārī ye auqāt rah ga.ī
miltā nahīñ kisī se bashar koī be-ġharaz
matlab kī ab jahāñ meñ mulāqāt rah ga.ī
gardish meñ saath un āñkhoñ kā koī na de sakā
din rah gayā kabhī to kabhī raat rah ga.ī
vaa.iz ko apne rañg pe le aayā khīñch kar
aaj ābrū-e-riñd-e-ḳharābāt rah ga.ī
bāteñ sunā.īñ ġhairoñ ke aage jo yaar ne
farmā.iye phir aap kī kyā baat rah ga.ī
furqat meñ sabr-o-hosh to sab kuuch kar ga.e
par ek jaan morid-e-āfāt rah ga.ī
tauhīn-e-mai na kartī thī rindoñ meñ vā.izā
izzat tumhārī qibla-e-hājāt rah ga.ī
dil meñ to ḳhaak uḌtī hai zāhir meñ haiñ fidā
ab to munāfiqāna mulāqāt rah ga.ī
dene ke badle dete haiñ saa.il ko jhiḌkiyāñ
ye rah ga.e amiir ye ḳhairāt rah ga.ī
dil pā.emāl karne the raftār-e-nāz ko
ye chaal tujh se o but-e-bad-zāt rah ga.ī
āmāda jaan lene pe merī thī vo magar
kyā jāneñ kyuuñ ubhar ke tirī gaat rah ga.ī
duniyā se baḌh ke kaun hai harjā.ī dūsrā
do din na kis ke paas ye bad-zāt rah ga.ī
jo kuchh thā paas kar chuke sab nazr mai-farosh
ab mai-kashoñ kī qarz pe auqāt rah ga.ī
karnā thā naqd-e-hosh use nazr ai 'qalaq'
pīr-e-muġhāñ kī ham se mudārāt rah ga.ī