adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil kā
huā tumhāre bigaḌne se faisla dil kā
bahār aate hī kunj-e-qafas nasīb huā
hazār haif ki niklā na jo sila dil kā
jo ye nishāna uḌā do to samjheñ tīr-fagan
bahut hai nāvak-e-mizhgāñ se fāsla dil kā
ilāhī ḳhair ho kuchh aaj rañg be-Dhab hai
Tapak rahā hai ka.ī din se aabla dil kā
chalā hai chhoḌ ke tanhā kidhar tasavvur-e-yār
shab-e-firāq meñ thā tujh se mashġhala dil kā
vo riñd huuñ ki mujhe hathkaḌī se bai.at hai
balā hai gesū-e-jānāñ se silsila dil kā
phirā jo kūcha-e-kākul se koī pūchheñge
sunā hai luT gayā raste meñ qāfila dil kā
ummīd-e-sub.h meñ kartā huuñ chaak dāman-e-shab
junūñ meñ roz nikālā hai mashġhala dil kā
vo zulm karte haiñ ham par to log kahte haiñ
ḳhudā bure se na Daale mo.āmla dil kā
hazār fasl-e-gul aa.e junūñ vo josh kahāñ
gayā shabāb ke hamrāh valvala dil kā
ḳhudā ke haath hai apnā ab ai 'qalaq' insāf
butoñ se hashr meñ hogā muqābla dil kā