vaa.iz kī zid se rindoñ ne rasm-e-jadīd kī
ya.anī mah-e-siyām kī pahlī ko iid kī
marne ke ba.ad bhī ye tamannā thī diid kī
āñkheñ huiiñ na band tumhāre shahīd kī
phir jins-e-dil na apnī kisī ne ḳharīd kī
sach hai ki qadr kuchh nahīñ māl-e-mazīd kī
ye vaqt-e-chashm-e-poshī-e-ahl-e-vafā nahīñ
jaan āñkhoñ meñ hai yaar tire mahv-e-dīd kī
missī dahān-e-tañg kī dekhī to shak huā
añgushtarī hai koī nagīn-e-hadīd kī
vo shoḳh jañg-jū jo hamāre gale milā
mātam muḳhālifoñ ne muhibboñ ne iid kī
aalam hai chashm-e-shauq kā har ek zarre meñ
barbād ḳhaak hai ye kisī mahv-e-dīd kī
kyā be-nuqat sunā.ī haiñ us tifl-e-shauq ne
qāsid ne naama de ke talab jab rasīd kī
kyuuñ vo savāl-e-vasl kā dete nahīñ javāb
hājat hai un ke qufl-e-dahan ko kalīd kī
ġhusse se aag ho ke hue tar pasīne meñ
itr-e-bahār husn kī apne kashīd kī
kis roz maiñ ne mus.haf-e-ruḳhsār mas kiyā
jhūTī na qasmeñ khaao kalām-e-majīd kī
dekhe na pīr-zāl jahāñ ko uThā ke aañkh
mardoñ meñ aabrū nahīñ kuchh zan-murīd kī
be-shubah ai 'qalaq' sag-e-duniyā hai vo bashar
jis ne ba-dil itā.at-e-nafs-e-palīd kī