ham ne ehsān asīrī kā na barbād kiyā
marte dam muñh taraf-e-ḳhāna-e-sayyād kiyā
ab kī sayyād ne turfa sitam ījād kiyā
be-par-o-bāl samajh kar hameñ āzād kiyā
kyā tirī yaad kareñge falak-e-nā-insāf
dil-e-nāshād hamārā na kabhī shaad kiyā
dil pe sadme liye jaur-o-sitam ḳhūbāñ ke
zabt dekho na kabhī vā lab-e-fariyād kiyā
āsmāñ kī na shikāyat na hasīnoñ kā gilā
dil-e-nā-fahm ne mere mujhe barbād kiyā
itnā shikva hai ḳhayāl-e-ruḳh-e-jānāñ se hameñ
dil-e-vīrāñ na hamārā kabhī ābād kiyā
shefta kar ke mujhe ik bune harjā.ī par
ḳhuub rusvā-e-jahāñ ai dil-e-nāshād kiyā
haath aayā koī mazmūn nayā to samjhā
mujh ko farzand-e-ḳhudā ne mire imdād kiyā
ishq-e-ḳhūbāñ meñ huā rañj to rāhat samjhā
shukr maiñ ne evaz-e-shikva-e-bedād kiyā
kufr-o-islām ke jhagḌoñ se chhuḌāyā sad shukr
qaid-e-maz.hab se junūñ ne mujhe āzād kiyā
mahfil-e-ġhair meñ bulvā ke jalāyā ham ko
tum ne ḳhalvat meñ kisī din na hameñ yaad kiyā
jis meñ mazmūn raqam thā tirī ḳhush-chashmī kā
to usī sher pe ustād ne bhī saad kiyā
koh-e-ġham ham ne bhī o ġhairat-e-shīrīñ kaaTā
josh-e-ulfat meñ tire pesha-e-farhād kiyā
ek din bhī na hamārā koī kahnā maanā
ham bajā laa.e jo kuchh aap ne irshād kiyā
tere dīvānoñ kā kis dasht meñ maskan na huā
kaun sā hai vo ḳharāba jo na ābād kiyā
hasart-e-qatl hī ne jaan lī apnī sad shukr
maut ne ham ko na sharminda-e-jallād kiyā
dekho is ishq-e-fusūñ-sāz ke nairañg āḳhir
jaan lī qais kī TukḌe sar-e-farhād kiyā
laakh chāhā magar ik shoḳh hamārā na huā
kyā javānī ko 'qalaq' muft meñ barbād kiyā