Arshad Ali Khan Qalaq

pinhan tha KHush-nigahon ki didar ka maraz

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
pinhāñ thā ḳhush-nigāhoñ kī dīdār kā maraz
band aañkh jab huī to hamārā khulā maraz
be-dār-o-visāl na ye jā.egā maraz
sach hai firāq-e-yār kā hai jāñ-guzā maraz
kyā bad-balā hai ishq-e-kuhan-sāl kā maraz
hotā hai naujavān ko ye bārhā maraz
mohlik thā kaisā un kī mulāqāt kā maraz
baḌhte hī un se rabt mirā ghaT gayā maraz
kyā jāneñ kaun rog hai ishq-e-balā-e-jāñ
saaya hai koī yā ki jhapaTTā hai yā maraz
iisā ke paas bhī koī is kī davā nahīñ
kahte haiñ jis ko ishq vo hai maut kā maraz
va.ada visāl kā na koī sach kiyā kabhī
tum ko bhī jhuuT bolne kā ho gayā maraz
ā.īna-rū jahāñ koī dekhā phisal gayā
aage hamāre dil ko to aisā na thā maraz
buqrāt kyā masīh bhī dekheñ to deñ javāb
tere marīz-e-ishq kā hai lā-davā maraz
dāñtoñ pe shefta the hue ab fidā-e-lab
thā rog ek to ye huā dūsrā maraz
ārām dard-e-ishq se dil ko kamāl hai
sehat se bhī aziiz mujhe hai sivā maraz
vāqif haiñ ham natīja-e-āzār-e-ishq se
be-gaur ke jhañkā.e to ye jā chukā maraz
ulfat ke aarzī kī davā hai ajal ke paas
jaate hue kabhī nahīñ aisā sunā maraz
kyā kyā taras taras ke nikaltī hai jān-e-zār
is ishq kā hai sab marazoñ se sivā maraz
dil ko hamāre ulfat-e-āriz hai aarzī
kyā ai 'qalaq' rahā hai kisī kā sadā maraz
Top Urdushayar.com