Arshad Ali Khan Qalaq

ye barik unki kamar ho gai

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
ye bārīk un kī kamar ho ga.ī
ki nazroñ meñ tār-e-nazar ho ga.ī
paḌā donoñ zulfoñ kā un kī jo aks
nazākat se dohrī kamar ho ga.ī
gale chaḌhne mastī meñ mastoñ ke muñh
baḌī duḳhtar-e-raz ye niDar ho ga.ī
vo ab kaaT teġh-e-nigah kā nahīñ
kuchh āñkhoñ par un kī nazar ho ga.ī
mirā naqd-e-dil maar baiThe hasīñ
ye daulat idhar se udhar ho ga.ī
kiyā un ke muñh pe jo vasf-e-dahan
faqat ranjish is baat par ho ga.ī
khulī ḳhvāb-e-ġhaflat se piirī meñ aañkh
shab-e-naujavānī sahar ho ga.ī
lifāfe par apnā na likkhā thā naam
ḳhatā itnī ai nāma-bar ho ga.ī
kiyā hañs ke sun kar savāl-e-visāl
tumheñ jur.at ab is qadar ho ga.ī
qadam rakhte hī khaḌkhaḌā maar rīchh
adū un kī zanjīr-e-dar ho ga.ī
ajal se koī kah de phir jaa.e aap
masīhā ko mere ḳhabar ho ga.ī
na jhūToñ bhī utnā kisī ne kahā
shab-e-ġham tirī be-sahar ho ga.ī
bure yā bhale haal guzrī 'qalaq'
ġharaz har tarah se basar ho ga.ī
Top Urdushayar.com